Friday, December 27, 2013

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Ek Safar Kuch Khash Sa..



Apno ke saath or vishwas sa,

Khubsurat lamhe or beshumar pyar ki bouchar sa..

Maa ki mamta or Pita ki mehnat ki buniyad sa,

Bachpan ki yaado me chupa har raaz sa...

Ek Safar Kuch Khash Sa..


Haan pehli baar judhte rishto ki meethas sa,
Pati ke pyar bhare vaado ki tarah  khash sa..

Ghar ke aagaan ki dhup me pedo ki chao sa,
Shaam ke naamkeen nashte ke saath meethi si chai sa...

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Rishto me majboti ke vishwas sa,
Apno ke hone ke ehsaas sa...

Ek ladki ke poore hue khwab sa,
Bhawanao ke badhate theharte sailab sa...

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Mandir ke bajate ghanto se gunja hua sa,
Purane rasto me bachpan rama hua sa..

Dil ki saachi khushi ke ehsaas sa,
Saapno ke saach hone ke vishwas sa..

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Maa ki lori sun ke aayi meethi nind sa,
Pita ke gale lagte hi hote surakshit hone ke ehsaas sa..

Har sukh se upar ke ehsaas sa,
Aashu me chupi us mushkan sa..

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Bhai se hui khilono ki ladaiyo ki yaad sa,

Raksha bandhan me paye hue tohfo ki talash sa..

Milte bichadhte rishto ke ehsaas sa,

Pyaar ke dhaago me bhande vishwas sa..

Ek Safar Kuch Khash Sa..

Vidai ke aasoo ki yaad sa,
Fir milne ki aas sa,

Yaado ke saath vida hue parivar sa,
Fir milne ke vaado ki meethas sa..

Ek Safar Kuch Khash Sa..
Ek Safar Kuch Khash Sa..

Dedicated To My First Trip With My Hushband To Bilaspur ( My hometown)










No comments:

Post a Comment